A Lost Diary Entry: FOUND

A few days back, while walking back to my hostel in IIT Gandhinagar, I found a diary. Using the information provided by the owner of the diary on the first page, I contacted him and he was very thankful to me as I returned it to him the next day. But i was not aware of something that happened in between the events of finding the diary and returning it to the owner.. My friend (also hostel roommate) thought that the diary was mine and he read it all and took pictures of a few particular pages. A few days later, he told me about the diary. He said that he has read the diary which i was hiding from him. Firstly, I got confused as I have never written in a diary and then suddenly clicked in my mind about that lost diary. I told my friend about it. He believed me with little disappointment and showed me the pictures he had taken. I know reading someone else's diary isn't a good manner but still I read it. It actually, felt good. It was something ..... I don't know whether it's real or not but I found it really amazing. Today, real version of that lost entry I am sharing with you.

It goes here...

Ye baat ninth ki hai jab maine school change hi kiya tha. Firstly, the new school and another my shy nature, ye dono mujhe Bhondu sabit krne ke liye kaafi the. Roll no. 20 ke baad main thoda jyada hi concentrate karne lagta tha, mine was 9 but 24 uska tha jiska nam matter nahi krta , actually I didn't knew hers. Roll no. 24! Roll no. 24! teacher bolti, uska hanth utha ke present kehna hota aur mere chehre pe ek halki si raunak aa jati, pata nahi kyon?
Even after one month main use Roll no. 24 se hi janta tha aur vo mujhe  shayad janti hi kahan thi.
Time passed and I became friendly with the school environment. Ab Roll no. 24 se Hi Hello hone laga tha. Sirf Hi Hello jaisa normally classmates ke beech me hota hai par naam abhi bhi nahi pata tha.
Mai academics me achha tha, jiska ek matra fayda ye mila ki vo Quiz me mere sath Part lena chahti thi. I said Yes, fataak se . Us din usne apna No. diya aur nam bhi
"Muskan" Saala us din laga achanak bada ho gaya tha, Shadi layak, lag raha tha jaise bas dekhta rahun use aur bas mann me laddoo phoot rahe the. Maza aa gaya. Maine apne C2 me uska No. Save kr liya, Roll no. 24 ke naam se. Quiz mein to hum har gaye, par main jaroor kuch jeet gaya tha.
11th me main kota chala aaya, aur IIT ke race track pe daudte huye usse kaafi door nikal aaya. In do saalon me mujhe uske bare me koi khabar nahi thi.

One day after too much force by mom and dad mai unke sath relative ki shadi me jane ke liye maan gaya. At the pani puri stall between the huge chaos I heard "Bhaiya Meetha teekha mix".... Yes, it was Roll no. 24. Maine kahaa "Roll no. 24" , usne kaha "what?". Sorry Muskan kyaa haal hai Longtime! (maine kaha in Punjabi accent). She replied "Hii! kahaa the itne din?" Maine bhi saari baat bataa di... We were in conversation for some tym. Dil se awaaz aayi aur bas keh diya "You look gorgeous, beautiful". She said "thnx aur tu bhi kaafi handsome ho gya h, pehle to bhondu sa tha". Shayad ye kisi aur ne kahaa hota to use mere gusse ka shikaar hona padta.

Bas tabhi uske papa ne use bulaa liya, unhe jaana tha ab. Jaate jaate usne mera no. maanga, How stupid I am, aaj bhi maine nhi , usne mera no. maanga. Wo byee bol k jaane lagi, mere muh se byee bhi nhi niklaa. Ab lag raha tha badaa ho gaya , pakka shadi layak ho gaya , aur achanak aisa laga ki Mohit aur Sheena ko stage se utaar ke hum dono baith jaayein.
Phir kya, ab to no. thaa mere paas. Din bhar uska 'last seen at' dekhta aur jaise hi online aati phatt se hii, Bina matlab k suggestions, bina matlab ki help. Chaahe reply aaye ya naa aaye. Dheere dheere baat badhi aur saamne se bhi reply aane lagey, ab use bhi mujhse baat karne ki aadat si ho gyi thi. Lagne lagaa kuch to h but phir achanak lagaa jaise friend zone ka lochaa to nahi.
Poori duniya ka Birthday bhool jaata par use theek 12 baje wish karta aur wo bhi mujhe karti.

Filmy lag raha h naa par hai sach. Un dino "Meri ashiqui" to 40 - 40 baar suntaa tha din mein, aur bhi pataa nhi kya kya.... Friend zone wale doubt ko clear karne k liye socha ki valentine's day ko sab kuch bataa dooga. Finally after much preparations, wo moment bhi aa gaya aur maine  bol diya ek last note ke saath .... Will you be mine... forever.

She was looking at me into my eyes. after 1 second wo rone lagi, I thought I did something wrong but then she pulled me up from my kneeling position and hugged me. I was wiping her tears and again she hugged me and said "I am waiting for this proposal since Ninth aur tum mujhe 6 saal baad bol rahe ho. Bhondu kahi ke. Yes, I am yours since ever". Now, we were just about to kiss each other and as I closed my eyes, memories from past flashed in my mind, Roll no. 24 halki smile ke sath present bol rahi thi. Her smile, innocence, aur purity was resisting me to kiss her. And  I moved back. Ye baat shayad Muskan na samajhe par Roll no. 24 jaroor samajhegi. It happens ki kisi se aapko pehli nazar me pyar ho jaye without attraction, pure love with his or her innocence.

In sab ke baad jab maine apni aankhe kholi to I was shocked koi valentine nahi, koi kiss nahi, kuch bhi nahi main to bas uske pehle hii ke intezar me hi so gaya tha. Us din pata chala ki dil bhi bahut kameena hota hai, apne hisaab se saale ne script bhi bana dali.

But I wish kabhi us innocent Roll no. 24 ko bhi mujhse pyar ho, vaisa hi jaisa main usse karta hun. But we can't force anyone, what we can do is just Wish. Haa tab tak ke liye Arijit Singh to apna hai hi , maine headphone uthaye aur......
Meri aashiqui ab tum hi ho.....



One more thing, I would like to tell you that whatever you read by now is from the diary of my senior. Yes, the diary belonged to my senior, pataa chalaa bande ko to meri waat lagaane wala hai.

Comments

Popular posts from this blog

Remove All hatom and BlogPosting Structured Data Errors from Blogger Blog

Favourite Facts That Are False

Plus Transfer: Send Digital Files Secretly